Mana ja raha hai ki aaj 60 million baal majduri ke shikhar hai, agar ye aakdhe Sach hai tab sarkaar ko apni aakhe kholni hogi. Aakdo ki yeh bhagwahta hamare bhawishayo ka kalank ban sakti hai.. Bharat me baal majduri ki itni adhik sankhaya hone ka mukhaya karan sirf aur sirf garibi hai. Yaha ek taraf to aise bachcho ka samuh hai bade - bade mehge hotlo me 56 bhog ka aanad uthate hai our dusri taraf aise bachcho ka samuh hai jo garib hai, jinhe pet bhar khana bhi naseeb nhi hota. Dusra ki jhutho ke sahare we apna jiwanyapan karte hai.. Jab yahi bachche do waqt ki roti kamana chahte hai tab inhe baal majduri ka hawala dekar. Kai jagah kaam hi nhi diya jata. Aakhir ye ed bachche kya kare, kaha jaye taki inki samasaya ka samadhan ho sake. Sarkaar ne baal majduri ke khilaf kanoon to bana diye. Ishe ek apradha bhi ghoshit kar diya lekin kya in bachcho ki kabhi gambhirata se sudha li ? Baal majduri ko jadha se khatam karne ke liye zaruri hai garibi ko khatam karna. In bachchha ke liye do waqt ka khana muhaiya karana. Iske liye sarkaar ko kuch thosh kadam uthane hoge. Sirf sarkaar hi nhi aam janta ki bhi Isme sahbhagita jaruri hai. Har ek inshan jo aarthik roop se sachham ho agar aise ek bachche ki bhi jimmedari lene lage to Sara paridirishy hi badal jayega. Kya aapko nhi lgta ki komal bachpan ko is tarah gart me jani se aap rok sakte hai ? Desh ke surakhit bhawishya ke liye waqt aa gaya hai ki aapko yeh jimmedari ab leni hi hogi kya aap lege aise kisi ek masoom ki jimmedari....
Gud
ReplyDeleteVery nice yaar ye to bahot achi baat hai. Mai bhi tumhare sath hu.
ReplyDelete